Ek kitaab si meri zindagi
Panne kuch iske bikhar gaye
Na mere paas hain na tere
Na jaane ud kar kidhar gaye
Mere astitva ke tukdon se aaj
Tere hoothon ki ye muskaan hai
Bichadte un tukdon ko dekh
Nain bhi mere baras gaye
Ek kitaab si meri zindagi
Panne kuch iske bikhar gaye
Aankhon ki roshni se meri
Duniya aaj teri ye jagmag hai
Yaadon ki tokri ke bojh ke tale
Armaan bhi mere tadap gaye
Ek kitaab si meri zindagi
Panne kuch iske bikhar gaye
Na mere paas hain na tere
Na jaane ud kar kidhar gaye
-- tishru the poet